Pages

Wednesday, August 28, 2013

Meri Yahi Kahani Hai....

Har raat suhani lagti thi,
ab har baat kahani lagti hai.
Jo kabhi hamare lagte the,
ab koi kahani lagti hai.
Jin raahon pe sang chalte the,
ab kyu anjani lagti hain.

Un chhotti chhotti baaton me,
un jhoothe kasme vaadon me,
Teri khuddari si yaari me,
us jhoothi rishtedari me,
jane kyu sachhai si lagti hai..

Tu tab bhi koi kahani tha,

Tu ab bhi koi kahani hai...

Tere sang rehte rehte kyu tere sang rehna chaha tha,
apna har sukh dukh na jane kyu bas tujhe batana chaha tha.
Na samjha tune kabhi mujhe 
na tune kabhi mujhe pehchhana tha.

Tera tab bhi yahi fasana tha 

tera ab bhi yahi fasana hai..

Kaise bhoolega un raaton ko jo sang me humne kaati thi,

Vo masti aur vo shararatein jo mil ke dhoom machate the,
Un chhoti chhoti baaton me hum jhat se jo lad jate the,
Fir baith ke sang me kabhi kahin vo kisse fir suljhate the..

Tune tab bhi mujhe rulaya tha,

Tu ab bhi mujhe rulata hai.
tera tab bhi yahi bahana tha
tera ab bhi yahi bahana hai...



Tujhe milne ko  na jane kyu man mera machlata hai,
Jaane kyu chhup chhup ke ankhiyon se laar bahata hai.
 Dekhte  hi tujhko jane kyu ye dil mera bhar jata hai,
Bas tere paas jane ke ye bahane mujhe batata hai..

Kaise samjhaun is pagal dil ko ki tu ab mera yaar nahi,
Mere sang teri yaadein hain,
Par yaadon me tera sath nahi..

Tu tab bhi mujhe satata tha,
Tu ab bhi mujhe satata hai,

Tujhe tab bhi apna mana tha,
Tujhe ab bhi apna mana hai,

Meri tab bhi yahi kahanai thi,


Aur meri ab bhi yahi kahani hai….

-written by akash tandon

No comments:

Post a Comment