Aansuon ki aad me tera pyaar nikaal raha hun
Likh Likh k kore kagaz pe teri yaadein utaar raha hun
Tere gam me itna pighal gaya hun
Khud to jal raha hun
Auron ko bhi jala raha hun..
Jaane kyun ab bhi sochta hun tujhe
Jaane kyun ab bhi tere sapne dekhta hun
Jaanta hun ab tu mere sapno me nahi
Phir bhi na jane kyun apne sapne tod raha hun main..
Tujhe pane ki chahat me
Tere aane k intezaar me
Ro ro k dekh ye raatein guzaar raha hun main..
Khud se hi kuch yun tanha hun main
Khud se hi yun rootha hun
Khud se hi ab ye poochta hun
Teri yaadein me kyun dooba hun
Tujhko ko to kabse bhula dia
Tere har khat ko ab to jala dia
Fir bhi yaadon ko teri, sang sang liye chal raha hun..
Kehne ko ab kuch nahi hai
Fir kya kahun tujhse
Janta hun teri khata nahi hai
Phir kyu gila karun tujhse
Ye teri nahi ye meri galti thi,
Isiliye apne san sang liye ja raha hun
Khud to jal raha hun auron ko bhi jala raha hun
Likh likh ke is kore kagaz pe teri yaadein utaar raha hun…
-written by akash tandon
-written by akash tandon